WhatsApp Top 5 Features Aapko Jarur Jaanna Chahiye

WhatsApp Top 5 Features Aapko Jarur Jaanna Chahiye hiii guys how are you aaj iss article ke help se hum aapko whatsapp top 5 features batayenge jise jaan kar aap chaunk jayenge. Wo kaun si top 5 whatsapp features hai jaanne ke liye iss article ko end tak read jarur karen. i hope ki main jo bhi top 5 whatsapp features batane wala hun wo aapke liye best bhi ho isliye article ko end tak read jarur karen. By the way whatsapp is a most popular online messaging app in all the world aur aaj kal whatsapp pe kaafi kamal ke features aate rahte hain. Top 5 whatsapp features hai wo bahut shandaar hai aaiye jaante hain.

WhatsApp Top 1 Features

So guys whatsapp ke top 1 features mei baat kare to yaha pe nikal kar aata hai Storage and Data yaha se aap pata laga sakte hain ki aapne kaun se person se sabse jyada chata kiya hai. Agar aap apne whatsapp ka storage clean karna chahte hain to aap kar sakte hain apne according. Plus benefit ye hai ki agar aapka whatsapp proper work nahi kar raha hai ya fir lag kar raha hai to aap Storage and Data mei jaa kar kuchh chat delete karke apne WhatsApp ko faster bana sakte hain and smooth use kar sakte hain. Storage and Data Settings mei jaane ke liyte maine downside mei steps bata rakha hai aap use follow karke jaa sakte hain.

⇒ Open WhatsApp > 3dot > Settings > Scroll Down > Storage and Data.

  • Open WhatsApp
  • Click on 3 Dot Upper Side
  • Then Click On Settings
  • Scroll Bottom You will Showing Storage and Data.

WhatsApp Top 2 Features

WhatsApp top 2 features ki baat kare to ye hain WhatsApp Avatars jo ki bilkul new hai and jabardast bhi hai. WhatsApp avatars se aap apne according kuchh alag avatars bana sakte hain and ise apne WhatsApp DP mei use kar sakte hain.

How to Create WhatsApp Avatars

Open WhatsApp > 3dot > Settings > 3rd Number Avatar > Create Your Avatar > Choose Skin Tone and Next > Choose Hair Styles, Dressing, Eye and Body > Then Done > Save Changes > Next > Create Profile Photo > Choose Your Avatars > Done RIght Icon.

Jo maine aapko upper mei steps bataya hai issi steps se aap whatsapp avatars create kar sakte hain aur ise as a profile picture ka use kar sakte hain apne whatsapp pe. And yah WhatsApp ke top 2 features mei aata hai bilkul jabardast.

WhatsApp Top 3 Features

WhatsApp top 3 features hai WhatsApp Community to isse jaanne ke liye sabse pehle hum aapko batate hain What is WhatsApp Community? Agar aap ise samajh lenge to aapko easily iske baare mei samajh payenge aaiye jaante hain.

What is WhatsApp Community?

Basically WhatsApp Community yah ek groups manage karne ke liye hain. Jaise ki aapke WhatsApp pe bahut saare groups hain and aapko manage karne mei problem aa rahi hai to aap WhatsApp Community Features se ise easily manage kar sakte hain.

For EX- aapke WhatsApp pe Class 1, Class 2, Class 3 aise bahut se groups hain to aap WhatsApp Community mei ise ek jagah kar sakte hain and easily manage kar sakte hain. And iska sabse bada benefit ye hai ki aapko kuchh bhi notice send karna hai to aap WhatsApp Community Features ki help se aap ek baar mei saare groups mei send kar sakte hain.

How to Use WhatsApp Community?

First of all WhatsApp open karna hai and aapko first left side mei hi WhatsApp Community logo show hoga uspe click karna hai and start your community pe click karna hai then aapko get started pe tap karna hai.

After then Community Name rakh lena hai jo bhi aapko sahi lage uske baad aapko Community ka description bhi rakh dena hai that means uske baare mei batana hai. uske baad jo bhi photo set karna chahte hain aap kar sakte hain.

Then guys aap chahe to new groups bana kar add kar sakte hain ya fir aap existing groups bhi add kar sakte hain wo bhi 20 groups ek community mei. Agar aapke pass already WhatsApp groups hai to aapko add existing groups pe tap karna hai. Then aapko select karke next pe click karna hai uske baad aap ka community create ho jayega.

WhatsApp Top 4 Features

Baat kare WhatsApp top 4 features ke baare mei yah hai story reaction pehle ya features aapko instagram pe dekhne ko mila tha jab aap instagram pe kisi ka story dekh rahe hain then jab aap usi story pe swipe karenge to aapko react show hota hai.

So guys ab wo features aapko WhatsApp pe bhi aa gaya hai iske liye aapko WhatsApp open karna hai and status pe jana hai jo bhi aap status seen kar rahe hain simply wahi pe aapko swipe up karna hai. Then aap react send kar sakte hain kaafi useful features hai WhatsApp ka.

WhatsApp Top 5 Features

Yah features jaan kar aap pure hil jayenge WhatsApp top 5 features to sabse mast hai and ise jaanne ke baad aap ise daily use karenge 100% aaiye jaante hain WhatsApp top 5 features ke baare mei.

Kayi baar aisa hota hai ki WhatsApp naye users ko message send karne ke liye uska number save karna padta hai. But aapko number save karne ki jarurat hi nahi hai WhatsApp Top 5 Features mei yah sabse easy ho gaya hai.

So guys iske liye aapko WhatsApp open karna hai then aapko message icon show hota dikhega bottom mei uspe tap karna hai. After then sabse upper mei 2nd number pe new contact show hoga and QRCode bhi show hoga aapko QR code pe tap karna hai.

And ye same aapko saamne waale ke whatsapp pe bhi open karna hai and saamne waale ke whatsapp mei aapko my code pe click karna hai and QR code dikhayi dega and aapko scan code pe click karna hai and QR code scan karna hai. Direct chat open ho jayega without number save kare.

Hain na jabardast whatsapp top 5 features and mujhe ummeed hai ki aapko sabse jyada WhatsApp Top 5 Features hi pasand aaya hoga and ye aapke liye useful saabit hua hoga.

Agar ye post jara bhi achhi lagi ho to apne family and friends ke sath share jarur karna and aisi aur bhi whatsapp features ke liye aap Gyanmix.com par visit jarur karen chaliye milte hain next post mei.

Leave a Comment