₹699 Mei Instagram Blue Tick Buy Kaise Kare?

Hello doston kaise ho aap sab aaj ke is article mei hum aapko batayenge ₹699 mei instagram blue tick buy kaise kare, because pehle bluetick usi ko milta tha jo celebrity hote the high profile jo the, leader, businesses man ye sabhi ko hi bluetick milta tha.

But ab aap apne khud ke profile par bhi bluetick verification badge le sakte hain wo bhi sirf ₹699 mei, lekin bluetick kya hai bluetick verification badge lena kaise hain chaliye ye jaan lete hain.

Bluetick Kya Hota Hai?

Bluetick yah ek tarah se verification badge hai jo ki show karta hai official instagram profile ko, jisse hume pata chalta hai ki yah original ID hai tab hum follow karte hain. Bluetick ka colour bhi blue hi hota hai iske bich mei ek check mark laga hota hai.

Bluetick Kaise Buy Kare?

Bluetick buy karne ke liye sabse pehle instagram application ko update karenge uske baad aapko meta verification badge milega jisse aap ₹699 mei instagram bluetick buy kar sakenge. So jin logon ko bhi meta verification nahi mila hai wo kuchh din tak wait kare aur apne instagram ko update karte rahe mil jayega.

Instagram open kare apne profile par click karen, then upar mei 3 line par click karen aur waha par kaafi saare option show ho rahe honge jisme aapko meta verification ka option mil jayega meta verified par click karen.

Uske baad subscribe button par click kare aur apna instagram account choose kar len agar aapka instagram account facebook se bana hua ho to, then ek page open ho jayega usme aapko ₹699 pay kar dena hai ab aapko bluetick verification badge lag jayega.

₹699 Wala Bluetick Kisko Milega?

Agar aapko bhi instagram par bluetick lena hai ₹699 mei to ise koi bhi buy kar sakta hai, lekin isme bhi kuchh terms and conditions hain jo main aapko abhi bata bhi deta hun.

  • Aap 18 years old hone chahiye
  • Aapka khud ka account hona chahiye
  • Not business profile
  • Your account public or private
  • You must have face profile
  • You must have two authentication enabled

Kitna Followers Hone Par ₹699 Wala Bluetick Milega?

Ye bhi sawal kaafi sahi pucha gaya hai bluetick ke liye aapka followers matter nahi karta hai, agar aapke profile par 10, 50, 100, 1000, 100000 jitne bhi followers hain utna mei hi meta verification badge mila jayega.

Aur agar aapko proof dekhna hai to kisi chhote celebrity ke account par uske post open karo aur uske comments mei jaao waha par aapko kaafi low followers waale account par verification badge dekhne ko mil jayenge.

Kya Meta Verified Ka Sirf ₹699 Hi Dena Padega

Ye wala jo questions hai wo public ne bilkul sahi sawal kiya hai meta verified subscription ke liye aapko har month ₹699 dena hoga, that means agar aapke pass budget hai to hi aap instagram ka subscription le sakenge, because har month ₹699 dena possible nahi hai sabhi ke liye.

Meta Verified Ka Option Show Nahi Ho Raha Hai?

So guys agar aapne ye soch rakha hai meta verified lene ke liye, but agar aapko meta verified option show nahi kar raha hai to aap ek kaam karke meta verified option laa sakte hain.

Sabse pehle aap play store open kare aur instagram ko new version mei update kar len ab aapko meta verified option mil jayega. Agar aapko fir bhi show nahi kar raha hai to aap koi aur account login karke dekhen agar usme show ho raha hai to aap kuchh dino tak wait karen option mil Jayega.

Kya Meta Verification Lena Chahiye?

Chaliye hum aapko ye bhi bata dete hain, agar aap ek youtuber hain aur aapke fans aapko instagram par follow kar rakhe hain, then aap meta verified jarur buy karen, isse aur bhi fans ko pata chal sakega ki yahi real account hai. Lekin agar aapka account naya hai ya fir old hi hai but followers nahi hai aur aap sirf show off karne ke liye le rahe hain so bilkul bhi buy mat karen.

But agar aapke pass budget hai aur aap har month ₹690 pay kar sakte hai so aap bilkul meta verification buy kar sakte hain, jinke pass budget nahi hai wo nahi le to better hoga, kyunki one month tak to wo pay kar denge but next month pay nahi kar paye to bluetick verification badge remove ho jayega jo ki dekhne mei useless lagega.

Meta Verification Kaha Se Buy Kare?

Jab se meta verified option aaya hai iske naam par kaafi fraud bhi ho raha hai, alag alag website bana kar isse thagi ki jaa rahi hai, jab aap meta verified typ karke search karenge to aapko kaafi saare sites mil jayega jo aapko dawa karenge ki agar aap yaha se bluetick lete ho ₹699 mei to yah remove nahi hoga. Ya fir ₹699 ke alawa wo aapko kaafi low price mei bluetick lene ka batayenge.

So aisa galti aap bilkul bhi na kare in sabse aap bilkul dur rahe hain agar bluetick lena hi hai to Instagram App se buy kare ya official instagram website se buy kar lena best rahega.

So aaj is article mei humne meta verification badge ke bare mei jo bhi batien batayi hain wo aapko sahi se samajh mei aa gaya hoga article pasand aayi ho apne doston ke sath share jarur karen.

Leave a Comment