Kya aapko pata hai ki youtube se kamaya gaya paisa kaise bank account mei kaise aata hai? Bahut se log new channel bana rahe hain and usse paise kama rahe hain. But kuchh new hain youtube par unko ye sab ke baare mei sahi se pata nahi hai. So aaiye aaj hum iss post mei batate hain.
How To Earn Money From Youtube?
Youtube channel se paisa kamane se pehle aapko apne channel ko monetize karna hota hai uske baad aapki video pe ads chalega jiske badle aapko paisa milega.
Uske baad aapke kamay gaye dollar aapke adsense account mei har mahine ki 11 ya 12 date ko add kar diya jaata hai, jaise ki aapne earning kiya 10$ january mei to ye kamaya gaya paisa 10$ agle mahine february mei add kiya jayega isi tarah se youtube earning add hota hai adsense account mei.

How To Transfer Youtube Payment In Bank Account?
Bank account mei paisa lene se pehle aapko apne adsense account mei 10$ Karna hota hai uske baad adsense mei diya gaye adress pe ek adsense pin bheja jayega jo ki 6 digit ka hota hai.
Uske baad aapko adsense mei bank account add karna hai aur add karne ke baad aapke adsense account mei jaise hi 100$ ya usse jyada hoga aapka payment aapke account mei transfer ho jayega aur hmm guys aapke
adsense account mei 100$ se kam nahi hona chahiye agar aapke account mei 100$ nahi hua hai to koi baat nahi aapki fir youtube jo kamai hogi wo agle mahine add kar diya jayega uske baad aapka paisa aapke account mei transfer ho jayega ye process automatic hota hai.


Youtube ki payment har mahine 21 date ya 22 date ko transfer hota hai aapke bank account.
When Payment Received In Bank Account?
Ab bahut saare log ye soch rahe honge ki youtube payment bank account mei kab tak aa jata hai waise dekha jaya to kuchh banko mei payment fast aa jata hai jaise hi adsense se payment release hota hai 2 se 3 dino mei
aa credit ho jata hai lekin kuchh banko mei 10-15 dino mei hota hai ye depend karta hai bank ke work pe wo jitna fast kaam karenge aapka payment ootna jaldi aa jayega.
Aur jab aapka payment 1st time aata hai youtube se to aapko ek baar bank bulaya jata hai verify karne ke liye uske baad aapka payment aapke account mei credit kar diya jata hai.
To isi tarah se youtube ka payment aapke bank account mei aa jata hai. I hope ki aaj ka ye post aapko kaafi pasand aaya hoga aur aap samajh bhi gaye honge.