Jaisa ki aapko malum hoga ki tiktok india mei
ban ho chuka hai indian government ne isko ban kar diya hai india mei,
What is Tiktok? | ||
Why Tiktok Ban In India? | ||
How To Recover Tiktok Video? |
What is Tiktok?
Tiktok ek video platform hai jaha pe log shorts video banate hain
aur jinka video viral ho jata hai wo kaafi acha naam kama sakte hain
iss app mei log song ko lipsing karte hain, comedy video banate hain.
Why Tiktok Ban In India?
Tiktok ban hone ka reason ye hai ki uspe kuchh aise videos aa rahe the
jo ki sahi nahi the aur iss app use karne waale bahut saare bache bhi hai
jinka future kharab ho sakta hai aur reason ye bhi hai ki
ye tiktok app ek chinese app hai jiski wajah se tiktok ban ho gaya india mei.
How To Recover Tiktok Video?
Lekin doston yaha pe baat ye aata hai ki akhir
Tiktok ban hone ke baad tiktok video recover kaise karen,
Lekin doston tiktok pe hum kuchh aise video upload kara hota hai
jisko dekhne ka mann karta hai aur jisse hamari purani yaadien taja ho jaati hai to baat nikal kar ye aata hai tiktok video recover kaise kare
Tenson not guys
Main hoon na aaj iss post isi ka solution dene wala hun so don’t worry,
To sabse pehle aapko koi bhi VPN app install kar lena hai play store se waise yaha pe main link diya hun aap ise install kar sakte hain
Secure vpn link:-
https://play.google.com/store/apps/details?id=com.fast.free.unblock.secure.vpn

Iss VPN ko open karenge apne device mei aur upper side right mei aapko
location ka icon show ho raha hoga uspe click kar dena hoga aur waha pe aapko
kayi saare server dikh rahe honge aur jis bhi server ka signal green show ho raha hai
usi ko connect kar lena hai yaad rahe India server connect nahi karna hai
quki TikTok india mei ban hua hai other countries mei nahi.
Uske baad aapka VPN aapke device se connect ho jayega



Uske baad chrome browser open karna hai agar aapke device mei chrome browser nahi hai to
niche diye gaye link par click karke install jarur kar le
Chrome browser link:-
Ab aapko chrome open karne ke baad aapko type karna hai
www.tiktok.com/@perwezkhanaryan
Yaha pe jaise maine likha hai same to same aapko yahi likhna hai
sirf username alag dena hai Jaisa ki hum maan lete hain ki mere
TikTok ka username itperwez hai to aapko chrome pe jaa kar
www.tiktok.com/@itperwez likh kar search karenge aapka id aapke chrome browser pe open ho jayega
Uske baad aapki jitni bhi video upload hongi tiktok pe wo saare video show ho jayenge
uske baad jis bhi video ko download karna hai simply uspe click karenge
Aur waha pe aapki video play hongi aur wahi pe aapko share ka icon milega
uspe click kar denge aur copy url ka option mil jayega uspe click kar denge aapke video ka url copy ho jayega,




Ab iss video ko download karne ke liye aapko ek application ki jarurat padegi jiska naam hai vidmate
Vidmate apk link:-
https://vidmate.en.uptodown.com/android/download
Ab aapko vidmate app ko open karna hai aur iss app ke under upper side search bar milega
uspe click karna hai aur aapne jo copy kiya tha url usko waha pe paste karke search kar dena hai
aur ab ki video show hogi aur just wahi pe aapko download icon show hoga
uspe click karna hai aur aapki video download ho jayegi.




I hope ki aaj ka ye post aapko bahut hi pasand aaya hoga to iss post ko sirf apne pass hi na rakhe apne dosto tak share kare taaki unko bhi pata chal sake
Thank You So Much