Instagram Reels Option Not Showing 100% Fixed

Instagram Reels Option Not Showing 100% Fixed hello guys aaj market mei reels puri tarah se trend mei hain. Baat chahe paise ki ho ya fir fan following ki agar aapka reels video viral ho jata hai ek baar bhi to fir wahi reels kaafi trend mei aa jata hai.

Then aap wahi reels video se aap bahut saare paise bhi earn kar paate hain and sath hi aap fan following bhi, matlab instagram reels aapki kismat raato raat badal kar rakh deta hai. But aaj ke iss article mei hum aapko reels option not showing ka solution dene waale hain.

Reels option not showing fixed karne ke liye iss article mei hum aapko kuchh tips batayenge agar aap ise follow karte hain. Then aapk Instagram reels option show karne lagega aur fir aap bhi reels use kar sakte hain chaliye jaante hain.

How To Get Reels Option On Instagram?

Agar aap abhi instagram open karenge to fir ho sakta hai ki aapko instagram reels option show na kare aur aap reels bhi use na kar paye to isko waapas laane ke liye kuchh jabardast tips batate hain follow jarur karna.

Check Updates On Google Play Store

Kayi baar aisa hota hai ki hum log itne buzy ho jaate hain aur update hi nahi karte aur problem bhi update ki wjaah se hi hota hai. But agar aap update kar lete hain tab to problem fix ho jayega. So aapko google play store par se Instagram new update check karna hai aur koi bhi update ho sabse pehle update hi karna hain.

Ab guys kuchh log update bhi kar lete hai fir bhi Reels option show nahi karta hai to aapko ek aur tricks batate hain follow karen instagram reels option show karne lagega.

So iske liye aapko apne mobile ki settings mei jaana hai and search karna hai apps manager, uske baad aapko instagram find karna hai, uske baad aapko force stope karna hai. Then uske baad aapko storage pe click karna hai aur Clear data & Clear cache karna hai.

Ukse baad apko instagram app open karna hai and apne account ko login karna hai login karte hi aapko reels option dikhayi dega ab aap ise easily use kar sakte hain.

Uninstall Instagram

Dusra sabse best ye hai ki aapko instagram app ko direct uninstall kar dena hai uske baad aapko google play store se instagram install karna hai isse aapka instagram update bhi ho jayega and reels option not showing fixed ho jayega.

Instagram Reels Option Not Showing Instagram

Ab jo main aapko tricks batane jaa raha hun 100% keh raha hun ki iss tricks se aapka instagram reels option show karne lagega try now. So guys aapko instagram open karna hai and aapko main profile pe aana hai, uske baad aapko 3 line pe click karna hai then aapko settings pe click karna hai.

After then aapko help pe click karna hai and now yaha se aapko apne reels option show nahi kar raha hai uske baare mei aapko explain karna hai. Wo bhi aapko english word pe likh kar send karna hai and aapko rees not showing ka screen shot attach karke send karna hai.

Aur aapko 24 hours tak wait karna hai and aapka reels option show karne lagega and aap reels use kar sakenge and reels bana sakenge. Aur ye tricks 100% working bhi hai isliye try jarur karen.

Agar aap instagram pe follower badhana chahte hain to ispe bhi maine ek article likh rakha hai and aap 20k tak instagram followers badha sakte hain.

And iss article mei humne jo bhi tricks bataya hai isse aapka reels option show karne laga hoga and umeed karta hun ki ye post aapko bahut hi pasand bhi aya hoga post pasand aayi ho to apne friends ke sath share jarur karna.

Leave a Comment