So guys jaisa ki aapko Malum hoga ki IPL 2021 start ho chuka hai so iss post mei main aapko batane wala hun ki aap dream 11 par paisa kaise kama sakte hain. So aaiye jaante hain iss post mei.
How To Create Account In Dream11?
To sabse se pehle aapko app ko download karna hai download karne ke baad simple install kar denge aur DREAM 11 app ko open karenge uske baad aapko apna.
Mobile number
Email Id
Password
Dena hai aur Create kar lena hai uske baad agar aapka account login nahi hua to aapko

niche right side ki or login ka option milega uspe click kar dena hai aur aapko apna register
mobile number ya email id dena hai aur next pe click kar den hai aur aapke ke diye email id ya mobile pe otp aayega agar aapka mobile number usi phone mei laga hoga to wo automatically verify kar lega aur iss tarah se aapka account login ho jayega.
How To Create Team in Dream11?
So guys ab yaha pe baat nikal kar aata hai ki aap dream 11 mei team kaise banayenge aur kaise paise kamayenge to aaiye jaante hain isko bhi.

to aapko home pe dekhna hai kayi saare match dikhaye jaayenge to aapko jis bhi match pe lagana hai uspe click karna hai lekin main yaha pe bata raha hun ki aap IPL start ho gya hai usse paise kaise kamaye? To aapko ipl ka jo bhi match hoga uspe click kar dena hai.

uske baad waha pe aapko kayi saare contest dikh raha hai jaha pe aapko kuchh rupees show ho raha hoga to aapko lower side CREATE TEAM ka option mil raha hoga aapko just uspe click kar dena hai.
1st Wicket Keeper (WK)
2nd Batsman (BAT)
3rd Allrounder (AR)
4th Bowler (BOWL)




Yaha pe pure 100 credit milte hain isi creadit ke under aapko player choose kar lena hai
To pehle aapko kuchh wicket keeper milega jisme aap 1-4 tak wicket keeper select kar sakte hain. Usi tarah se aap batsman bhi 1-4 tak select kar sakte hain.
Usi tarah se aap all rounder 2 select kar sakte hai ya usse jyada bhi. Aur usi tarah se bowler 1-3 bhi select kar sakte hain.



Uske baad CONTINUE pe click kar dena hai aur aapko aage CAPTAIN AND VICE CAPTAIN select kar lena hai aur aapko yaha se dhyan se select kar lena hai.
Uske baad aapko save team pe select kar dena hai.

Fir aapko home pe aane ke baad my matches pe click kar dena hai
Aapne jo team create kiya tha wo aapko show ho jayega aapko uspe click karna hai uske baad aapko kuch price
pool dikha jaayega uske bagal mei aapko kuchh paise dikhaya jisko de kar participate karna hoga.
Aur isi tarah se aap contest mei join ho jayenge.


How To Add Cash In Dream11 For Playing?
Ab yaha pe baat y e bhi nikal kar aata hai ki aap contest ko join karne ke liye cash kaha se layenge to iske liye
aapko cash on karna hoga to aapko batate hai ki kaise cash add karna hai
Cash add karne ke liye upper side right mei ek wallet icon show hoga uspe click karna hai jitna bhi aap chahe
add kar sakte hain lekin minimum aapko 50 rupees add karna hai.


How To Score In Dream11?
Dream 11 mei aapko score kaise milega to aapne jo bhi player select kiya tha agar wo achha Match khelega to
aapko point badhega jitna jyada aapka point hoga aap ootna hi price ki taraf rank karenge.
How To Transfer Winning Amount Dream11?
Amount transfer karne ke liye aapko home pe aana hai upper side left mei ek profile icon milega uspe click
karna hai my balance ka option milega uspe click karenge aapka jitna bhi amount hoga usko enter kar dena
hai aur aap apna amount apne bank account mei lenge.


Aapko yaha se dhyan rakhna hai aapko iski aadat bhi par sakti hai kripya apne soch samajh kar aur risk pe khele.